Na-ahel aur be-kaar aadmiyon ka naam “Ameer” ya “Imaam”

1910ء ke baad ashaab-e-tadreeseen aur khutaba ke dimaagh mein yeh khabt samaya ke hamara naam “Imaam Ji” ya “Ameer-ul-Momineen” hona chaahiye. Chand sufaha ki ma’iyyat se masjid ke kisi gooshe mein baithe baithe chand minutoñ mein Maulana se Imaam Ji aur Ameer-ul-Momineen ho gaye. Wa’z aur khutbon mein “Imaarat-e-Shar’iyyah” ya “Imaarat-e-Aammah” ki ahadees parhi ja rahi hain. Jahiliyyat ki maut se daraaya ja raha hai. Zakaat ke liye takeed ki ja rahi hai ke ghuraba aur masaakeen ke bajaye zakaat Imaam Ji ko di jaaye.
Lekin mazloomoon ki i’aanat, sarhadon ki hifazat, hudood ke ijra, ghundon ki sarzanash ka zikr aaye to Ameer-ul-Momineen foran Makkah Mu’azzamah ka rukh farmaate hain aur bari raaz-daari se farmaate hain ke hamari fi-al-haal Makki zindagi hai. Yeh nahi sochte ke Makkah Mu’azzamah mein zakaat hi farz na thi, is ka istihqaq aap ko kaise hua?
Gharz yeh naqshah aaj ki “imaaraton” par bhi poori tarah muntaabiq hota hai, lekin ma’loom hai Shaari’-e-Hakeem ki yeh qat’an mansha nahi ke is qism ke na-ahel aur be-kaam aadmiyon ka naam “Ameer” ya “Imaam” rakh liya jaaye to shari’at ka maqsad poora ho jaayega.
Sheikh-ul-Hadees Maulana Muhammad Isma’eel Salafi Rahimahullah
(Nigarishaat: 336/4)

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top