ulama-se-jurein-jamiat-se-nahin

Ahle Hadees awaam aur nawjawanon ka sachche Salafi wa Ahle Hadees ulama se judna zaroori hai, kisi jamiyat ya tanzeem se judna qat’an zaroori nahi hai, yeh zyada se zyada mubah hai bas.

Agar koi jamiyat ya tanzeem is baat ki da’wat deti hai keh is se judna zaroori hai aur is ke liye khilafat wa imarat walay nusoos se istidlal karti hai to samajh lein keh aisi jamiyat wa tanzeem Ikhwaniyat aur Maudoodiyat ke manhaj par hai.

Bohat saare Ahle Hadees nawjawaan jo Ikhwani wa Maudoodi ban jaate hain, us ke peechhe min jamla ek wajah jhooti imarat ki latt aur tanzeemi nasha ka asar bhi hai.

Ek aadmi cigarette ka aadi kaise banta hai? Pehle chhote chhote kas leta hai, baad mein mukammal cigarette peene lagta hai. Yahi haal tanzeemi nashe ka bhi hai. Jab koi jamiyat ya tanzeem khud ko “mini Islamic State” samajhne lage gi aur nawjawanon ko yahi yaqeen dilane lag jaye keh hum gercheh “Ameer-ul-Mu’mineen” nahi lekin un ki jagah par hain, to phir yeh nawjawaan “hal min mazeed” ki talash mein na sirf Jamaat-e-Islami tak jayenge balki wahan se bhi guzar kar is se bhi khatarnaak platform tak ja pahunchenge.

Agar nawjawanon ko is gumrahi wa daldal se bachana hai to unhen “Maudoodi imarat” aur “Ikhwani riyasat” ka nasha pilana band karein, unhen ulama Ahle Hadees se wabasta kar ke manhaj-e-Salf ka paband banayein, aur jamiyat aur tanzeem ko ek “union” hi rehne dein, ise Islami riyasat wa imarat ka darja har giz na dein.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top